Pages

Saturday, August 5, 2006

Shaayari - DASTAAN-E-MAZHAB

DASTAAN-E-MAZHAB

Main mazhab hun insaan ka,
Mujhe waqt ne diye kayi naam; Koi mujh ko sab kuchh maanta,
Koi bechta mujhe sar-e-aam.

Ik daud lagi hai jeevan mein,
Sab‘jeet’ ke peechhe bhaag rahey, Kahin chor hai meri khidmat mein,
Kahin qaatil rehmat maang rehey.

Ik din ki kiya main baat kahoon,
Mere naam pe ik bazaar lagaa, Maal bech rahey sab ek hi thaa,
Par awaam ko sab ne khoob thaga .

Shor-gul thaa yun neelaami ka,
Koi baat samajh nahin paata thaa; Dhun toh sab ki ek si thhee,
Par sangeet alag ho jaata thaa.

Main dang hua yeh dekh nazara--
Jo gali ‘Gurudawarey’ jaati thhee, Uski nukkad pe ‘Mandir’ aur ‘Girja’,
Woh ‘Maszid’ ho ke aati thhee.

Khud se pochha, “Main cheez hun kya?
Kiya sabko miloon virasat mein?
Kya janam ki mohar ke jazwon mein ?
Insaan Umar bhar rahey hirasat mein.”

‘Hindu’ garv se kahen jise ek mandir,
Fir maante‘Prabhu’rahey uske andir; Kuchh daava karen Masjid ‘Allah’ka ghar,
Har'Musalmaan'jhukaye adab se apna sir.

‘Sikh’maanne‘Gurudwara’‘Guruon’ ka dhaam-
Guruvaani’ ka wahin mile unhen gyan, Us imarat ko daiyen log ‘Girja’ ka naam;
Yahan ‘Isaai’ sunaiyen ‘Jesus’-Paigam.

Yeh namoone hai maire naamon ke kuchh;
Albatta, main hun sirf ek jeene ki raah; Ek gujre waqt ka woh khiyalaat hun;
Nek 'Banddon' ne dee, jo ek nek slaah.

Aaj nafrat ke sab yeh ho gaye gulaam,
Qaatil ban ke khuda,bechen zannat ke jam; Neki karne ka ‘Rajee’ yeh karte elaan;
Dafan 'Neki’ ko karte magar subah-shaam.

No comments:

Post a Comment