DAASTAAN-E-ISHAQ
Arz hai:-
Mumkin nahin ke waqt bhar de dil-e-jakhm-e-nishan,
rafta, rafta sulgati rehti hai chingari;
Dhuan uthega har baar, paani jab bhi daaloge
Kaho ishaq ki aandhi, ya dil ki lachaari.
KIONKIH:-
Zikar hoga jo kabhi, mere in khyalon ka;
Milega zawab aapko, ishaq ke sawaalon ka;
Ishaq-e-dariya mein toh mausam lajawab aate hain-
khushi ka toofan aaye toh,gum ke bhi sailab aate hain.
Zikar hoga...
Milega jawab...
Hamsafar bana lo jise, yun hi anjaane mein;
Dil woh le jayega tumse harjaane mein;
Kiyon ummeed rakhte ho daulat ke deewanon se?
Piyar bhi bikta hai aaj ke zamaane mein.
Zikar hoga...
Milega jawab...
Dil ka yeh rog bura, dard be-hisab aate hain;
Dilvar ki judai mein, aashiq be-lagaam gaate hain;
Kaise koi mehfooj rahe, dil ke chale jaane se;
Dukh ke aansoon milne hain unko nazraane mein.
Zikar hoga...
Milega jawab...
Zakhm-e-ishaq na bharte kabhi,kuchh bhi upchaar karo,
Piyar ki himaqat ki, anjaam saweekar karo;
Haare aashakon ke ‘RAJEE, kitne hi afsaane hain;
Gum chhupane ke liye jaate sab maykhane hai.
No comments:
Post a Comment