Pages

Saturday, August 5, 2006

Shaayari - JALWA-E-ISHAQ

JALWA-E-ISHAQ

Arz Kiya Hai:-

Khushi se jhoomti lehren saagar ke seene mein,
shaamat laati hai magar woh kinaron pe; Dillagi ke maze har dum leta toh hai dil,
Magar roti rahti hain aankhen uske isharon pe; Humne daikhe hain chehron ke badlte rang,
Aah jab bhi nikli toote huye dil ki diwaron se ; Lekin koi seema nahin dil ki manmani ki jaanam,
Hosh ud jaate hain sipahsalaron ke .


KIYONKI:-

Piyar ka toofan jab kisi dil mein chalta hai,
Har lamha judai ka fir khalne lagta hai.

Khushiyon ka ehsas hota jiske vaydon se-
Raaton ko bechain kar de apni yaadon mein,
Unse hard um milne ko dil khoya rahta hai,
Piyar ka toofan jab kisi dil mein chalta hai,
Har lamha judai...

Har dharkan, har saans pe jo raaz karta hai,
Deewangi ki hud tak dil uspe hi marta hai;
Kuchh bhi naseehat de koi par bus na chalta hai,
Piyar ka toofan...
Har lamha judai...

Aisa jadoo hota hai un mithi baton mein,
Armaanon ka mehal banta tanha raaton mein,
Sapnon ki duniyan mein dil to khoya rahta hai,
Piyar ka toofan...
Har lamha judai...

Dil ke aaine mein toh ik tasveer hoti hai,
Aankhon se dilvar ki par tasdeek hoti hai;
Khaane, peene,sone ka na khyal rahta hai,
Piyar ka toofan...
Har lamha judai...

Dil se dil ka khel yeh sadiyon purana hai,
'Rajee’ par is mail ka dushman zamana hai;
Dard, gam aur aahon ka bhi kissa banta hai-
Piyar ka toofan...
Har lamha judai...

No comments:

Post a Comment